AZIZ BURNEY
---------------
Rishtey khoon k,sukoon k,junoon k
Ji han aaj m aap k darwaze par ek naye rishtey ka paigham lekar aaya hun ji nahi ye us rishtey ka paigham nahin h Jo do afraid ya do khandanon k darmyan hota h
M us rishtey ka paigham lekar aaya hun Jo poori Qom aur tamam ham khyal logon k darmyan ho
Hamara ek chota pariwar WO pariwar hota h jin se hamara khoon ka rishta hota h Jo hamare khoon se paida hain ya ham jin k khoon se paida hain
Hamara ek barha pariwar WO pariwar ho sakta h jinse hamara sukoon ka rishta h jinhen ham khud qayam karte hain jinse hamara dil ka rishta h Jo hamare hamkhyal hain moonh bole aur god liye rishtey bhi isi dayre m aate hain inki tadad LA mehmood ho sakti h
Jin se aapka khoon ka rishta h WO aapki khandani virasat k haqdar hain aur jinse aapka sukoon w junoon ka rishta h WO aapki amli virasat k haqdar hain aaj meri virasat do hisson m bati h ek WO Jo mitti ki virasat h jise ek din mitti m mil Jana h WO zamin zaydat eint pathar k makanat Jo mitti k siwa kuch nahin
Meri ek virasat WO h Jo meri shanakht h Jo meri qalmi aur amli tehreek h jis k haqdar aap sab ho sakte hain bal k aap us k haqdar hain
Aaj m aapse isi rishtey ki bat karne aap k pas aaya hun tehreek e aazadi kisi ek khandan ki virasat nahin UN hazaron lakhon khandanon ki marhoone minnat h jinka khoon is aazadi ki tehreek m shamil h
Junoon ka rishta
Aaj ek bar phir m ek naye junoon k sath maidane amal m aaya hun Jo mere nazdeek zehni aazadi ki tehreek h haqiqi aazadi ki tehreek h m jis media team ki bat kar raha hun WO team h jis se mera junoon ka rishta h meri amli virasat ka hissa h is tehreek ko hamesha hamesha mere bad bhi UN k bad bhi zinda rehna h kya qayam hoga aap se mera ye junoon ka rishta kya banenge aap is tehreek ka hissa
Agar han to azrahe karam mere is rishtey k paigham ko qubool kar Len Jo aaj m aapki khidmat m lekar aaya hun aur pahuncha den ye paigham UN sab tak jin k sath sukoon ka aur junoon ka rishta qayam ho sakta h
Mujhe aap sab k jawab ka bahut besabri k sath intzar rahega m bat khatm karne se qabl ye arz kar dena chahta hun k Maine aaj tak ki zindgi m UN sab k sath apne rishtey ko poori imandari se nibhaya h jinse mera khoon ka rishta nahin h aur inshallh aage bhi isi imandari aur mohabbat se nibhane k azm k sath aaj k is paigham ko tamam karta hun .
aapka
Aziz Burney
आप हमें आवाज़ दें, हम आपकी आवाज़ बनेंगें,उठें जागें और ज़ुल्म के ख़िलाफ़ आवाज़ बुलन्द करें। "" कुफ़्र की हकुमत चल सकती है लेकिन ज़ुल्म की नहीं "" ।। बिना चिंगारी के आग नहीं लग सकती ।।
▼
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें